Search This Blog

Tuesday, September 17, 2024

Zindagi kaash tujh say mil kar....




zindagi kaash tujh se mil kar tujh ko apni arzoo bataate

tujhe jeena chahte they gar jeene ke mauaqe haath aate

-----------------------------------------------------------------------------

zindagi ab aur konsa perda uthana chahati hai

mere azam kyon khaak may milana chahati hai

mere bharam mere sukun ka wahed aasra hain

kyon meri nazron se khud ko giraana chahati hai

kal talak meri muskurahaton ka jo sabab rahe they

kyon bhent apni kasoti ki unko chadana chahati hai

humein ye rishtey badey maan se bakhshe gaye hain 

kyon tu un ke dil se meri hasti bhulana chahati hai

zindagi,kitni mushkilon se behala rakha tha tujh ko

kyon khaak hote jism-o-jaan ko aur jalaana chahati hai

akhir ek din in sanglakh junglon se muh modna hi hai

chund palon ke sarab ko kyon aina dikhana chahati hai

zindagi tujhe guzara hum ney khwab-o-khayal may hi

kyon ghurub-e-shab say pehle humko jagana chahti hai

jaane hai ye khel kaisa tulu-o-namud ki ibtida say pehle

kyon hijir ki daastaan kay panne paltaana chahati hai

chalo sar tasleem-e-khum hai jo mizaj-e-yaar may aaye

zindagi mere maula tera paigham hona chahati hai

No comments:

Post a Comment