aye chaand ek jhalak nay teri dekh mujhe tifl bana daala maa nay laakh aaina dikhaya mujh ko maine asmaan sar pe utha daala mujhe chaand chahiye laa dey apne saare waadey ginwa dey yon tou her baras edd aati per bina chaand ke hoti jo ote say tune dekha ek teer sa dil per phenka teri kamand thi ek ishaara mera dil hogaya taara taara tune her baar kaha ye mujh say hum na mil paayenge tujh say phir ye aankh micholi kaisi tu jaisa hai ,hun mai waisi tu kaii khwab dikha kar soye ek khwab ki khatir hum roye tu chaandni raat ka waada humara her din tera irada hum raasta kabhi nahi bhule dekh,kabhi saath hamaare holey des pardes lagaayen phera hamaara kaam wahi jo tera raasta raasta roshan hojaana teri tarha koi shab kho jaana aisa kya maang liya hai tujh say tu jawaab maangey hai mujh say ye dau, peych kahaan say laaye teri hikmat bhi isey na kas paaye mere pesh-e-nazar bas tu hai tu hi manzil,tu hi justaju hai
mera etebaar faqat tera talabgar hai sadiyon say sulag raha wahi intizar hai hain ye makhmasey saarey wajud ke warna mohabat may kahan takrar hai paikar nahi hai vo,roshan khayaal hai jo qayaas karsake,vo hiss darkaar hai teri khamoshi nay her baar ye kaha tere liye mera lafz lafz beqarar hai taptey mosamon nay jhulsa diye havaas ek dil bacha hai jo tera shahkaar hai ye soch ye tanhai dekh kya gul khila gaii phir haath may qalam hai khumaar hai
aye emaan tujhe meri qasam sanbhal yehi hai daam-e-ghum bhali hai quba teri dhuli dhuli badal na de isey kahin koi khum shaatir nafs ki tu kas le lagaam na hone dey phir khud pe sitam manzil yaqeen ki bas do qadam mahfuz rakh apne saare bharam
aye hawa na ched tu aaj phir puraani vo kahaniyaan ye waqt maang le na kahin aaj phir puraani vo nishaniyaan ab na koi sawal kar aye mere dil ab na vo dil hai na vo jawaniyaan khwaab hogayeen vo raaten khwab si meherbaan daur hai na vo meherbaniyaan chaal waqt ki aaj bhi hai wahi ab deewangi hai na vo nadaniyaan ab na derd ko ummid hai taskin ki pareshaan hain dekh khud vo pareshaniyaan zad per sayyad ke jo bulbul tha kabhi paa gaya haqeeqaton ki vo tabaniyaan
vo ek lamha ab tak pyasa hai uske haath may ab tak kaasa hai wahi haal hai ab tak deewanon ka lub tishna hain hosh zara sa hai koi dum tufaan uthne waala hai ye khamoshi sirf ek jhaansa hai jo paiwast hai mujh may emaan sa vo khayaal mahaz ek dilaasa hai
koi chale na chale mere saath zindgi mujhe chalna tou hai koi mera saath de ya na de mujhe pehel karna tou hai mujhe sawan ki pehli bunnd mere asmaan banna tou hai tanhaii may jub dum ghutey khuli fiza may nikalna tou hai mere ashk ab bahenge nahi laikin inhen machalna tou hai ajeeb hai is pal ki kasmakash zindgi tujhe sanbhalna tou hai mere shor ke jo hain muntazar unhen khud ko badalna tou hai