meri raaten teher gaii haiN mere din guzar gaye hain ye hosh ke marhale hain mil kar mukar gaye hain sehemi khamoshiyon say tufaan bhi dar gaye hain tera darr bandh kyon pada hai bekhwab kitne peher gaye hain herkat suna hai zindgi hai ye herkat vo kar gaye hain aakhir hasti ka namud kya hai kitne ilzam iske sar gaye hain jo chund saanson per tiki hai us zindgi pe hum mar gaye hain
ye azab khahishon ke bhogne tou honge khahishen bhi apni derd bhi hain apne sehne tou honge yehin tamam honge faisle bhi yehin pukarengi aahen yehin khatam hongi raahen yehi kasmakash rahegi yehin chupke say dil jalenge yehin raakh bhi udegi yehin jism khaak honge yehin rooh chaak hogi ke yehin arzu phali thi yehin dil ki dilagi thi raah aur bhi mili thi per yehi bhali lagi thi lutf ka moqam bas yehi hai yeh sarmastiyan gawah hain inki umr do ghadi hai do-rangi theen khahishen ye ek rang takmil ki thi chahat duja tha qudrat ki amanat kyon na vo rang chuna tu ney jis say teri zaat dhul gai thi tere khwab sirf haseen they taabir unki bas yehi thi ek derd may duba hua dil do ankhen khoon say tar ye khoon hai khahishon ka jinhen ye samjh may na aaya rab jub saamne khada tha kyon khahishon say dil lagaya
sab say dil lagaya ek dil say nahi lagaya ye duniya mahaz tamasha ye dil kyon na jaan paaya her zubaan mukhtalif hai jisey dil samajh paaye koi vo baat kar na paaya saath halaath her qadam hain koi rishta saath ho na paaya kehne ko her shaks mohabbat hai per koi mohabbat kar na paaya ye dil,.dil kyon padh raha hai is sair-e-baatini say kya haath aaya sadion say tha jo jamud taari vo ek dil na tod paaya maqtal say raah-o-rasam hai purani bekaar hi vo zalim qaatil kehlaya chala le, tu bhi teer-o-nashtar is munjamid lahu ko koi na ched paaya rooh tou azal say safar per hai apni is jism ka thikana rishte kehlaya aaj lagta hai her ankh ajnabi hai ek ajnabi say jub say dil lagaya
vo mil raha hai mujh say kitne chehre ajeeb le kar vo hans raha hai mujh per meri khahishon say mil kar tu kar le hasraten apni puri dekh kya mila in may kho kar bas jaa tu kahin bhi jaa kar jaana hai meri raahon say ho kar aakhir in hison ko kya hua hai kya mar gayeen tujh say juda ho kar jub sulajh gayii hai her paheli akhir kahan rah gaii hun kho kar hui tanbeeh,tasdeeq-e-ishq ka ishara tera nishan mila hai tujh say door ho kar