bhogne tou honge
khahishen bhi apni
derd bhi hain apne
sehne tou honge
yehin tamam honge faisle bhi
yehin pukarengi aahen
yehin khatam hongi raahen
yehi kasmakash rahegi
yehin chupke say dil jalenge
yehin raakh bhi udegi
yehin jism khaak honge
yehin rooh chaak hogi
ke yehin arzu phali thi
yehin dil ki dilagi thi
raah aur bhi mili thi
per yehi bhali lagi thi
lutf ka moqam bas yehi hai
yeh sarmastiyan gawah hain
inki umr do ghadi hai
do-rangi theen khahishen ye
ek rang takmil ki thi chahat
duja tha qudrat ki amanat
kyon na vo rang chuna tu ney
jis say teri zaat dhul gai thi
tere khwab sirf haseen they
taabir unki bas yehi thi
ek derd may duba hua dil
do ankhen khoon say tar
ye khoon hai khahishon ka
jinhen ye samjh may na aaya
rab jub saamne khada tha
kyon khahishon say dil lagaya
No comments:
Post a Comment