Najaane kyon zindagi ke mosam Zehen-o-dil may kahin nahi hain Guzarte shab-o-roz ke ye manzar Baab-e-khayaal se guzar gaye hain Akhir ye nigaahen kahan reh gaii hain Kahin apne mahvir ka tawaaf kar rahi hain Mai hergiz na hatungi apne daayere se Dhadkanen ek Isi laye pe thirak rahi hain Acha nahi hai,dilon ka mansab se apne hatna ye chakar hai zameen ke, zaat ke nahi hain Mujhe sada apni hadon may baandhe rakhna Samandar ki wasaton si ye teherti nahi hain Ye tufaan waqt ka chin le na hisson ku Ek Tilsimati gulsitaan ki shahid wahi hain
Teri ek sitar aye charagar muzhda-e-jaan hai rahbar teri ek nazar thi badi Kargar Dojahan se kargai Bakhabar hai ye konsa alam deedawar Insaan insaan se raha mukar Soch ka dar zara khol bashar yehi alam hoga roz-e-hashar Teri zaat gali teri zaat shahar Tu hai rishton ki ek raah-guzar duniya mahaz ek saa-at ka safar tera hona us ke hone ki khabar us ki hamd-o-sana ka hai ye asar Ezaazil bhi bhul gaya apni dagar
Meri nadamaton ka Ehsaas hain sahaara Zuban Soch ki alag hai Rooh ko mila hai ishara Meri hasti ko milgaya hai Badi khamoshi se kinaara tere qalb ne mere dil ko Kitne tufaanon ne guzara Haar jeet ka Apna maza hai Ek tera taluq hai bada pyaara Deewane ne ab Liya hai Ishq ki talkhiyon ka chatkhara Haasil bandagi ishq ki mili hai Isi gali se aana jaana hai hamaara Lo aagaya hai, naam-e-mohabbat Yehi paigham haq ko hai gawara Pehchan ka safar,paagaya hai Manzil humko mil gaya hai hosh ye dobara