Search This Blog

Thursday, December 30, 2021

ek rang ban gaye they.....




Patta tha hume,zindagi ke ye rang aarzi hain

Jaane konse vo pal they jo dil rang Gaye they

--------------------------------------------

tumne zindagi se rang hi na liye they

meri zindagi ka ek rang ban gaye they

rahte hain aksar,khwab tabeer ke sawali

khwab se safar ke rahgeer ban gaye they

khayaal apne daayeron se bakhabar they

darmyan daayeron ke tum rah gaye they

lage they khana puri mai zindagi ke rishte

tum rafta rafta khana-e-dil ban gaye they

tumhari khamoshi ko ab ghaur se suna hai

mahvir apni arzu ka mujh ko kar gaye they

maqsad nahi hai dil ka apne liye dhadakna

tum mohaal khahishon se azad kar gaye they

ye ankhein bhi ajab hain zahir hi dekhti hain

tum safar-e-batini ke humsafar ban gaye they

husn saara khuda bande ki zaat may chupa hai

tumhari rooh ke ujaale shahid ban gaye they

Saturday, December 25, 2021

zindagi,zindagi se gar milegi.....




Zindagi,zindagi se gar milegi 

hum pooch lenge bebasi se uski

kya hai derd ki intiha ka matlab

teri khamoshi may jo chupa tha

ek lamatnahi aziyet ka silsila tha

khuda ne tujhe mehbub karliya hai

tera jism tere derd ka gawah tha

tere zabt ki meraaj ka ye safar tha

roz mar kar khud ko zinda rakha tha

her subah sonp kar ek ummid mere dil ko

raabta Rab ne khud se bana rakha tha

taalib ke yaqeen ki perwaz yehi per bhi

sabar ko tumhare inaayet bana rakha tha

akhir aaye huye ko ek din jaana hi padega

isi soch ne dil ko hosh se juda rakha tha

sab jaanta hai ye dil maanta kyon nahi hai

shafeeq ko rab ne paas apne bula rakha tha

duniya se dil lagaane ki shert kitni kadi hai

waada wapasi ka her zee-rooh se le rakha tha

hosh tha salamat yaqeen-o-gumaan ke dar per

patta tha is safar per tanha qadam rakha tha

yarab ye saare rishte imtihaan hi they hamaare

bekhbar ne inhi ko matta-e-kul samajh rakha tha

rishton may rab ne hikmat apni chupa rakhi hai

dil adam ko dekar makaan apna bana rakha tha

Tum kya gaye…

 


Meri yaadon ka tu hi zakhira hai

Meri sochon May tera basera hai

——————————————

Tum aaj bhi mere saath ho her pal

hain bechain Mere din,raatein bekal 

Tumhara hona mere hone ki zamanat thi

Tumhare dil ki faqat mai hi amanat thi

zindagi ,Lagta hai zinda hi nahi hai ab 

Tum aaj mera they kal ho gaye kab

Ek jhonka hawa ka tumhara hai wajud 

Aaj bhi ho tum meri saanson may maujud

Tumhari ankhon ke hissar may thi mehfuz 

Tumhara khayal yaad dilayega mujhe her roz

tha Tum say sakun zeest ke jhagdon May bhi

Meri her mushkil ka madaawa  they tum hi

Waqt ne laakh  sikhaaya  zindagi ka chalan 

Deewana ki chah aur hai aur hi hai lagan

Umar ki raftar aur ye mohabbat ka fusun 

Sada  sab se parey hi raha is dil ka junun

Tum jaante they mere hosh ki manzil kya hai

Mere dil dhadkan ki haqeeqi Mehefil kya hai

Mere is deewane dil ki baqa tum they

Meri adat mere jeene ki ada tum they

Lagta hai ye koi aur hi hai ab mujh may 

Tum kya gaye kuch bhi na raha mujh May

Monday, October 18, 2021

Teri khamoshi say...

 


Jis khamoshi se 

Umarbhar Gila tha 

Wahi khamoshi

Tujhe sata rahi hai

Thi Khoon ki rawani

Jin lafzon ki muntazar

Dekh kitni khamoshi say

Ab wahi lafz muntazar hain

Mai jaanti hun teri

beqarariyan ye saari

Inhi beqarrariyon ne

Dekh kya kya  diya hai

Derd ko tadap mili 

Tadap ko mili pukar

Pukar ka samar yehi hai 

Mujhe mere rab se mila diya

Monday, October 4, 2021

Mujhe meri nazar se dekh..


Mere khayaal ko tanfeed manzur hi nahi

Mai mukammal hun kya hua khaam hun abhi

Mere khayal khud hairaan hain apne nazul per

Mai khaas na sahi  khayaal e aam hun abhi

hote rahenge tere Mere dilon say ye kasheed

Mera khayal hai mai gaam gaam hun abhi

Dilon ke bhedh paa gaye hain, khayal ki zuban

Ye tumhara hai karam,tasht-az-baam hun abhi

khilte hain gul mohabbaton ke khaar ke hi sang

Shayed isi liye fasid,gulcheen ka ilzam hun abhi

Ye duniya ke jamghate hain,khud se bhi bekhabar

Inke liye duniya ki bheed may ek naam hun abhi

Yarab tune ansar kainat ka banaya hai admi

Tu hi tu hai mai bhi mai nahi, ek pyaam hun abhi

Sunday, September 19, 2021

Dil-e-muztareb




Dil e muztareb

Tu jaanta hai sab 

Sab be-sabaat hai

Sabaat kisi ko nahi

Phir kaisi beqarariyan

Jaate huye lamhon se 

Kaisi hain yaariyaan 

Is ghadi ko maan le

Apna mataa -e-kul

In lamhon ki qaid se

Ek din tu jayega nikal  

Phir is waqt ki maan jaa

Zindagi ka payaam kya

Ye lubrez jaam zindagi ka

Kya hai mahaz sarab ke siwa 

Tu khud gar sairaab hogaya

Kisi ki pyaas bujha sakega kya

Ho jaayega azaad ek din 

Qaid e bamushaqat ki kofaton se tu

Zanjeer hain Ye natamam khahishen 

Koi bhi sira na aayega tere haath 

Jub Asal se hoga tera saamna 

apni Haqeeqat bani nu jaan  jaayega

Monday, August 30, 2021

Shaam keh rahi hai…




Shaam keh rahi hai aayegi raat phir
Raat ki ummid subah per tiki hai
Subah keh rahi hai rok le mujhe tu
mai ye gaii vo gaii thaam le mujhe tu
‐------------------------------------------------------------

Ajab daur ab ke adami ku mila hai
Ya Adam ki pehli khata ka silsila hai
Abhi tak hawason per tu hai qaabiz
Ishara tujhe apne khaliq se mila hai
Is jasarath ki taab tujh may kahan thi
Tujhe tarha dene wale ka elan barmala hai
———————————————————

Faham ke raston per 
Kyon baitha hai dil jalaye 
Ab shaoor ka qasoor kya hai
Teri nigah ka behkna tha lazim 
Mayekash se kaisi perda daari 
Is maye se jiski purani hai yaari 
Jaanta hai is surur ka lutf kya hai
Kaif ke marhalon ka wahed wahi gawah hai
Is deewangi ka perda rab ne rakha hai
Majaz raaston ki manzil khuda hai
Ishq k dau pech kasta wahi hai
Pal do pal ki udan ka mokhtasar sisila hai
Khilwat kadey se behter  aaina nahi hai koi
Her kisi ko wahin pe apna patta mila hai
Shikwe shikayeton may umar kyon ganwaii
haq se Nahaq umar Bhar ladta raha hai
Gar arzaan waqt tera maula ko jaan leta
Jaan leta wajud tera usiki ibtida,intiha hai
Sun,waqt tera ab bhi kahin gaya nahi hai
Khalikh ne aaj bhi apna darr khula rakha hai

Saturday, August 21, 2021

Nazia Mubarak ho

Nazia mubarak ho

Aaj ki shaam khushiyon hazar laai hai
Imtiyaz Nilu ke ghar naii bahar aai hai


Aaj her dil Teri khushiyon May dooba hai

Aaj her ankh teri mohabbat ka tohfa hai


Gulon ki ye ladiyan mohabbat hai behnon ki

Unki mohabbat ka ye izhaar hai saleeqa  hai


Nazia mubarak ho tum dono ko ye shaadi 

Tumhari ummidon ki hai ye khana abadi 


Nazia samjho to ye rishta fermaan e asmaani hai

Adam ke pehlu se hawa ki raah o rasam purani hai


Nazia in naye rishton ki qadrein badi purani hain

Yehi rishte hikmat khuda ki  raaz e zindagani hain


Ye sauda mohaabat ka sood o zyaan ka nahi qaaayel

Jis dil may mohabbat ho vo her dil May hai shaamil 


Hamari duayein hain tum yon hi bikhero khushiyan

Tumhi laai ho her dil may ye mehekti ghadiyaan


Apne sang lejaana ummidon hauslon ki saughaatein

Tumhari subahein roshan hon aur hon chaandni raatein 


Tumhari mama maami khalaon sab k honton per duayein hain

Shafi aur nawaz taaya ne tumhari khatir dhunein sajaii hain

Tumhari mohabbat may tarangein sab ki jagaii hain


Her besura Inki badaulat lagta hai aaj surr may hai

Gaana aaye na aaye lagta hai koshish hunar may hai


Samina aur shumaak waqif hain dilon ke taal aur suur se

Inki laye aagah hai  ulfat  ke her guur se


Nazia khushiyon ki ye ghadiyan tum hi laai ho

Dua hai yehi khushiyaan tum her taraf mehkaao


Tumhara chaand Zaahir aur chaandni tum ko mubarak ho

Tumhara ye naya asmaan ye roshan sitaare  tum ko mubarak ho

Wednesday, August 4, 2021

Mohabbat ki khair khawhi may….



Mohabbat ki khair khwahi May

Ek umar humne guzari hai

Mohabbat wahi karte hain

Jinki ghumon say yaari hai

Dillon k bhed unhi pe khulte hain

Duniya se jinki perda dari hai

Laga kar dil duniya se yehi jaana

Her khushi khushiyon se aari hai

Kahan koi hua raazi esaar-o-mohabbat se

Her kisi ka shauq faqat dil azari hai

namud k rasiya wajud May gum hain

Wajad ki intiha baatin ki tayari hai

Yarab Tujhe mehbub hain vo 

Jinki fitrat ghum gusaari hai

Ye daur izhar hai uski sarzinsh ka

Ye zarb gar samjho tou kaari hai


Monday, April 12, 2021

Meri zaat ka safar .....

 



Kabhi mosamon ki amad

Walwalon ki khabar thi

Kabhi badalon ki shookhi 

Meri zaat ka safar thi

Rim jhim barasta paani

Kisi yaad ka Nagar thi

Do bundoon ki thi kahani

Aah! Kitni mokhtasar thi

Ek khyaal sarnigoon tha

Duja uljhi hui nazar thi

Jo rubaru tha, khubru tha

Ankh apne yaqeen pe musar  thi

Junun  apne uruj per tha

Rooh thi ke darbadar thi

Jo paiwast thi rag o jaan may

Wahi mere rab  ki meher thi

Dil se dil ka ajib sisila tha

Wahi raah meri raahbar thi

Kya kya moqam aaye zindagi may

Zindagi Tujh se pehle zer o zabar thi

Shert Visaal e haq ki yehi teheri 

Saudaii ek mauqa ishq ki leher thi

Ehsaas hikmaton ke ameen hain

Mere yaarab teri Hakeemi khoobter thi

Wednesday, January 6, 2021

Naii Nazar say dekha hai....

Aaj maine khushi ko

Ek nahi nazar se dekha hai

Khuli khuli is dhoop ko

Baatin se nikalte dekha hai

Jis noor se dil khaira tha usko

her shaye may uterte dekha hai

Ankh bebehra thi jis manzar say

Usi say ankh milaate dekha hai

Khaali khaali say is seene may

Phir ek dil dhadakta dekha hai

Sahib waqt ka haal koi kya jaane 

Is lamha waqt badalte dekha hai

Jo guzar gaii ek khwabeeda si shaam thi

Us shaam ko khud May dhalte dekha hai

Ye mosam dil ka hai,rang badal sakta hai

Is dil ko aaj maine naii nazar se dekha hai