Meri yaadon ka tu hi zakhira hai
Meri sochon May tera basera hai
——————————————
Tum aaj bhi mere saath ho her pal
hain bechain Mere din,raatein bekal
Tumhara hona mere hone ki zamanat thi
Tumhare dil ki faqat mai hi amanat thi
zindagi ,Lagta hai zinda hi nahi hai ab
Tum aaj mera they kal ho gaye kab
Ek jhonka hawa ka tumhara hai wajud
Aaj bhi ho tum meri saanson may maujud
Tumhari ankhon ke hissar may thi mehfuz
Tumhara khayal yaad dilayega mujhe her roz
tha Tum say sakun zeest ke jhagdon May bhi
Meri her mushkil ka madaawa they tum hi
Waqt ne laakh sikhaaya zindagi ka chalan
Deewana ki chah aur hai aur hi hai lagan
Umar ki raftar aur ye mohabbat ka fusun
Sada sab se parey hi raha is dil ka junun
Tum jaante they mere hosh ki manzil kya hai
Mere dil dhadkan ki haqeeqi Mehefil kya hai
Mere is deewane dil ki baqa tum they
Meri adat mere jeene ki ada tum they
Lagta hai ye koi aur hi hai ab mujh may
Tum kya gaye kuch bhi na raha mujh May
No comments:
Post a Comment