Search This Blog

Sunday, December 21, 2025

kub se ek wahi khwaab le kar.....

 



kub se ek wahi khwaab le kar

dil ki sadak per rawaan dwaan hai

ye vo safar hai jahan saath apne

koi shareek-e-safar hai na carvan hai

jaane kabhi manzil ki justaju bhi hogi

jaane ye raah hai bhi ke imtihaan hai

jo guzar gaii hai guzri bhi ke nahi hai

zindagi lagti hai jaise hatheli pe jaan hai

chaley hain sitamgar tere peeche peeche

her qadam lagey tere qadmon ka nishaan hai

lagta hai jisey samjhey they dil hum apna

akhir wahi na samjhe jo dil ki zubaan hai

khu girahein kholne ki khayalon may kho kar

jaane waqt ki giraft may kub se neem jaan hai

koi pal faham ka tasveer teri banana bhi chahey

usi dum tu kehta hai tu hi mera makaan hai

Mubarak ho samina....



mosam rang laaya hai tere intizar ka

teri saadgi ko rang mila hai bahaar ka

---------------------------------------------------------------

samina mubarak ho tumhein sameer se shaadi

gul-o-gulshan nay ki aaj khushiyon ki manadi


Tumhara sehera saja hai  aaj duavon say maa ki

shab-o-roz jis ke dil ne tumhari hi dua ki


salma ki ankhon may they sada khwab tumhare

mubarak ho khuda ne dilon ki baat bana di


asmaan se hua karte hain faisle ye saarey

khuda ne mohabbat apne mehbub ki surat hum ko sikha di


ye sunnat unhi ki hai jo  aaj tum dono ne nibha di 

asmaanon may likhi jaati hai jub dilon ki hoti hai shaadi


samina tumhare liye hamesha her di nay dua ki

In saare rishton ko tumne hamesha dil may jagah di


rab se dua hai tumhari mohabbat se meheke tumhara ghar angan

aaj maama maaami ke dilon ki basti tum ne basa di


jub milte hain kaii dil tab basta hai koi ghar

samina aur sameer ko hum sab ne ye dua di