mosam rang laaya hai tere intizar ka
teri saadgi ko rang mila hai bahaar ka
---------------------------------------------------------------
samina mubarak ho tumhein sameer se shaadi
gul-o-gulshan nay ki aaj khushiyon ki manadi
Tumhara sehera saja hai aaj duavon say maa ki
shab-o-roz jis ke dil ne tumhari hi dua ki
salma ki ankhon may they sada khwab tumhare
mubarak ho khuda ne dilon ki baat bana di
asmaan se hua karte hain faisle ye saarey
khuda ne mohabbat apne mehbub ki surat hum ko sikha di
ye sunnat unhi ki hai jo aaj tum dono ne nibha di
asmaanon may likhi jaati hai jub dilon ki hoti hai shaadi
samina tumhare liye hamesha her di nay dua ki
In saare rishton ko tumne hamesha dil may jagah di
rab se dua hai tumhari mohabbat se meheke tumhara ghar angan
aaj maama maaami ke dilon ki basti tum ne basa di
jub milte hain kaii dil tab basta hai koi ghar
samina aur sameer ko hum sab ne ye dua di
No comments:
Post a Comment