Search This Blog

Thursday, December 4, 2008

Tarkash




tarkash may tere ab bhi,kya teer koii baaqi hai 
haan mere jigar may taab abhi baaqi hai

kya maut nind hai ,
ke baar baar aayegi 
maut ki taqeer may koii ghadi baaqi hai

sada ummid badalne ki 
rakhna mere dil ki 
uski koshish hai aur shiddat meri baaqi hai

her hasrath gunaah ki,
mayel ba karam hai 
jub talak mujh may uska karam baaqi hai

hisaab azaab-o-sawab 
wayez ko ho tou ho
wahi ishq ki bekhudi aur junun baaqi hai

husn-e-agahi lutf-o-karam maalik-e-do-jahaan 
mehbub ki mohabbat ibadat may sada baaqi hai

daana hakeem ne 
marz may hi shafa rakhi 
shaoor ka safar aye nadan abhi baaqi hai

intiha ko bana rasta,Aazaar ko navid-e-sakun 
Irfan-e-Rasul-e-khuda poshida isi may baaqi hai

Ek tassaur Pulsiraat 
aur haqeeqat hai iztiraab 
karb-e-agahi se bada derd kahaan baaqi hai

jaanib-e-khayaal yaar 
yon tu na ungliaan utha 
"chaand" mohabbat may kahan shert koii baaqi hai

No comments:

Post a Comment