Aye taaj tujhe jisne bhi banaya hoga
apne mehabub say nazar churaya hoga
apne mehabub say
Mayus nigahon mein mehebub ki usko
Aks taaj ka hi nazar aaya hoga
Gar mumtaz thi mohabbat us ki
Khud ko taaj pe khada paya hoga
Shahon ne yeh kaisi mohabbat ki thi
Aahon say sung bhi garmaya hoga
thi ada-e-mohabbat key ghurur-e-shahan
Ishq bhi khud say gabraya hoga
her derd kahega aye shah-e-jahaan
Aks taaj ka hi nazar aaya hoga
Gar mumtaz thi
Khud ko taaj pe khada paya hoga
Shahon ne yeh kaisi
Aahon say sung bhi garmaya hoga
thi ada-e-mohabbat key ghurur-e-shahan
Ishq bhi khud say
her derd kahega
Taaj ne chaand ka dard sajaya hoga
No comments:
Post a Comment