tarkash may tere ab bhi,kya teer koii baaqi hai
haan mere jigar may taab abhi baaqi hai
kya maut nind hai ,ke baar baar aayegi
maut ki taqeer may koii ghadi baaqi hai
sada ummid badalne ki rakhna mere dil ki
uski koshish hai aur shiddat meri baaqi hai
her hasrath gunaah ki,mayel ba karam hai
jub talak mujh may uska karam baaqi hai
hisaab azaab-o-sawab wayez ko ho tou ho
wahi ishq ki bekhudi aur junun baaqi hai
husn-e-agahi lutf-o-karam maalik-e-do-jahaan
mehbub ki mohabbat ibadat may sada baaqi hai
daana hakeem ne marz may hi shafa rakhi
shaoor ka safar aye nadan abhi baaqi hai
intiha ko bana rasta,Aazaar ko navid-e-sakun
Irfan-e-Rasul-e-khuda poshida isi may baaqi hai
Ek tassaur Pulsiraat aur haqeeqat hai iztiraab
karb-e-agahi se bada derd kahaan baaqi hai
jaanib-e-khayaal yaar yon tu na ungliaan utha
"chaand" mohabbat may kahan shert koii baaqi hai
No comments:
Post a Comment