Search This Blog

Monday, May 4, 2009

Jo Hafeez-e-khayaal tha


Gir gaya vo qila
Jo Hafez-e-khayaal tha
Kho gaya vo khula
taalib-e-nazar tha jo kal
fizaon may ajib sa
bikhra hua malaal tha
haqeeqat thi khwab si
jaise musafir raat ka
jiska jaagna mohal tha
deewangi ne bhi kaha
zakhmon ki laaj rakh
uske pathar bhi phool
jiska chehra hilaal tha
maanga kiye jisey raat din
chaha duaon se azeez
laa-saani vo be-nazeer
aap apni misaal tha
jiska khayaal thi zindgi
mahaz ek khayal tha
vo tha her khayal may
yehi sab ka khayaal tha
azeez tha jaan ki tarha
jaan ki tarha nikal gaya
apne fun may dosto
vo saaheb-e-kamaal tha
chun liye maine sabhi
un lamhon ki kirchiyaan
phir bhi kahin reh gaya
chubta hua sawaal tha
sailaab tha derd ka
tha gerdab may yaqeen
dubte dubte bhi usey
nakhuda ka khayaal tha

No comments:

Post a Comment