Search This Blog

Saturday, May 2, 2009

Ye dhula dhula sa mosam




Ye dhula dhula sa mosam
Ye khile khile phool saare
Mujh se keh rahe hain
Aa phir bahaar kar le
Aa phir se pyaar kar le
peeche chut-ti ye ghadiaan
un sab ne bhi kaha hai
Bura kya tha guzarna
Hum Agar baar baar aate
Umr ke unhi raaston per
Baar baar tumhen sataate
Aaj phir manus sa vo mosam
Kyon dil may khil raha hai
Maano barson ka koi bichda
Phir gale mil raha hai
Intizaar ki vo galiyaan
In khubsurat mosamon se
Abaad hojaana chahti hain
phir ummid ka vo mosam
khud may jagana chahti hain
zindgi ne dekha jo majra ye
muskura ke vo bhi boli
mai phir na aane waali
ab jo tum se beechdi
phir na samaane waali
ab jub ke mosamon ne
awaaz mujh ko di hai
maine bhi dast-e-qudrat
thaamne ki thaan li hai
is saal haathon may mere
tera haath le ke
bas mar jaana chahti hun
aye jaan-e-jaan teri ho ke
yehaan se jaana chahti hun
gar tu ne bhi suni hon
mosam ki yeh sadaayen
tera paigham paana chahti hain
ye mehaki mehaki hawaayen
ab na sunengi ,kaha hai
ye koii naya bahana
ho ke mosamon may shaamil
aa mil jaa jaan-e-jaanan

No comments:

Post a Comment