koii Bazm-e-khayaal phir sajey
Koii samaan-e-ghum tou ho
Koii justaju phir dil ki karey
koii ummid mubaham tou ho
koii sataaye phir aakar humen
koii derd phir kum tou ho
koii haasil-e-deewangi na nahi
koii sila mere humdam tou ho
koii shumaar akhtar kya kare
koii shab aisi sanam tou ho
koii junun jaage phir khwab se
koii aisa haseen sitam tou ho
koii ghadi zeest si bhi lage
koii lamha chaand karam tou ho
No comments:
Post a Comment