Search This Blog
Wednesday, April 22, 2026
mere dosto.............
vo junun aaj bhi raqsan hai....
soch abhi tak larzaan hai
Jub jub yaad teri aati hai
teri dastak chain churati hai
Mere hosh ko awaz na de koi
Mere junun ki maang hai yehi
Mujhe soch may apni jalney de
Mujhe is aag may jeene marne de
Ye ishq asaan kabhi raha nahi
Tujhe Jo kehna tha kabhi kaha nahi
Dhadkan may jub tak shamil hai tu
Teri meri baat chalegi ku ba ku
Zindagi gulshan ka karobar lagey
Khizaan bhi mosam-e-bahar lagey
bas yaad-e-maazi haasil hai kal ka
bas yehi ek sila hai is ghaafil ka
sau baaton ki aye dil ek baat yehi
tujh say mil kar lagi her baat sahi
Monday, April 6, 2026
Edd-e-saeed
idd ki khushiyon may mehekti hai
aaj bhi amma ke daman ki mehek
derwazey pe jami muntazar woh nazar
abba ka baade-e-namaz hona tha guzar
inhi khushiyon may hi mila karti hai idd-e-saeed
sab ki khushiyan hain apni khushiyon ki kaleed
yehi yaadein aaj bhi hain zindagi ki naveed
zindagi inhi khushiyon say ki hai humne kasheed
mere dosto ehsaas may hai ab tak maujud
vo duaon ki seher vo mohabbaton ke sajood
her pal bande ke amal may khuda ka hai namud
khalikh ki hikmat-e-amali khalkh ki falah-o-bahbud
khuda bande ke qurb ka hai ye jawaz
jahan haq ke qareeb hojaata hai majaaz
ishq-e-haqeeqi ki shanasaii hai ibadat ki khiraaj
maah-e-ramzan nay badley hain bandon ke mizaaj
hain rab ke fermanon may poshida rahmaton ke ejaaz
aam-o-khaas ke liye laaye mere huzur tohfa-e-namaz
khuda ko bandey ka esaar-o-ajaz itna hai pasand
apni rahmaton say kiye hain unke darjaat buland
idd ka chaand inayet hai aur ye kasoti hai kamand
mere dosto ke sath jo guzari vo idd usko hai pasand
------------------------------------------------------


