Search This Blog

Monday, March 30, 2026

zindagi zindagi say mil kar....




tera ye mode naya  hai aye zindagi

Saath hain sabhi dil tanha  hai zindagi

Tum   kya gaye duniya ashkaar   hogai

Azad tha Jo dil  shikar hogaya hai zindagi

Kya yehi zad-e-safar hum le ke jaayenge 

ek dil tha ansuon may bah gaya hai zindagi

Ankh Shaoor ki khulne may zara dair kya lagi

Banda nafs ke haathon maath kha gaya hai zindagi

Boye they gul ke "kal " ye doharaya na jaayega 

khaar bazid they hum se Bach na paayegi zindagi

ankhon se uter kar daman bhigo gaya lahu

Ye waar mohabbat ko kha gaya hai zindagi

khuda ki shert per pura uter gaya hai dil

aate aate raaz Zindagi ka  haath agaya hai zindagi