ye rang ujlaton may bikher gaye hain
sadiyon tarteeb jin ki ek si rahi thi
vo aaj apni hadon se nikal gaye hain
ye azadi apni shaayed manaana chahte hain
apne rang gumshuda phir se paana chahte hain
qaus-o-qaza ne mustarad kar diya tha jin ko
vo asmaanon may apni jagah banana chahte hain
jinhein gumaan tha apni rangeen munafiqat ka
unhein aaina haqeeqaton ka dikhana chahte hain
ye aks hain khushi ke, dilbari ki ada hain
tumhein shahkaar qudrat bani nu banana chahte hain
chalo chodo bhi ranga rangi ke ye jhagdey
ye rang tumhari fitraton ko azmaana chahte hain
kabhi miley gar tum ko fursat, zara ghaur karna
ye rang hain tumhare, tumhein paana chahte hain
inhi may chupi hui hai pehchaan admi ki
apni pehchaan ki hi khatir, ek rang hona chahte hain