Logon ko yaad hain tou tere zulum-o-sitam hain
Kise yaad hai kub kis kis ne uthaaye alam hain
aaj ka daur phir maange hai baang-e-dara teri
Shayed jaag uthey millat ke khamoshiyan bhi zulam hain
---------------------------------------------------------------------------------------------
duniya sama-aton se mehroom hogaii hai
kya daana-e-waqt ki baseerat kho gaii hai
ye munjamid lahu maangta hai mashaal koi
tahreek tere jazbon ki kahan ja ke sogaii hai
kya waqt phir se shahid-e-jahal hua chahta hai
kyon insaniyet asal se apni munharif hogai hai
do gaz zameen hi tera bhi moqadar hai zaalim
ab rok le qadam karbala ki hujjat tamaam hogai hai
No comments:
Post a Comment