Search This Blog

Friday, April 3, 2009

Ajab duniya ka

-->


Ajab duniya ka chalan dekha
Jisey dekha Khud may magan dekha
Tassaur ne jub bhi Aankh kholi
Jabaja khahishon ka Rangeen pairahan dekha
Hujum-e-dostaan tha Bikhre rishte bhi
zameen thi hersu kahaan watan dekha
jinhen gila hai doori ka gale lagne ki na fursat thi
kal aur aaj se guzra  waqfa be-watan dekha
na-samajh zamaane ne mulkon se mohabbat ki
sada qaumon se wabasta riwajon ka chalan dekha
insaan kyon insaan se kabhi jud nahi paaya
deewaar sada dekhi na shauq-e-milan dekha
duniya se dil lagane ki sazaa yehi paaii
haath malti bad-nasibi ka ujda chaman dekha
sadion se pashemaan wahi armaan hai
khwab bahut dekhe kyon na darpan dekha
-->
duniya sada tamashaii jub mili usey binaii
faham ki raahon per chaand ko ba-sukhan dekha
-->

No comments:

Post a Comment