Mere Mustafa madina mujhe bhi hai aana
Aapke qadmon se lipat kar haal-e-dil hai sunana
Bedar ko ek baar apne dar pe bulana
Mera shauq-e-deedaar hi jeene ka bahana
Aapki yaad lekar kahaan kahaan na pahunchi
Aapke aashiqon ka dar aapka dar hi jaana
Aap ne ummati keh kar jub bhi pukara
Ummati ka laazim hai donon jahaan bhul jaana
Aap ki duaon ka sadqa hai ye zeest apni
Aap ke dam se raaz-e-imaan humne jaana
Darud aapka waqt-e-aakhir ho zubaan pe
Madine ki musht-e-khaak se qabar hai sajana
hogi ummid puri hai yaqeen mehbub mere
Saath her haal may aapko hai nibhana
Jub se Mustafa aap mere dil may samaaye
Ek siwa aapke duniya lagi hai fasana
Her tassaur ne dekhi hai aapki hi surat
Her surat may khuda ka hi raaz jaana
mai kahaan jaanti thi meri hasti ka maqsad
aapke hi sadqe,khuda chahta hai batana
jub se mili rahbar ki nigaah-e-karam hai
lagta hai Madina mere Aaqa koocha-e-janaan
No comments:
Post a Comment