Mujh se poochta hai vo
Mai yaad hun ke nahi
Mai ne kaha hi nahi
Ek uske siwa Mujhe
kuch bhi yaad hi nahi
ye jo irdgird ke
manzar hain sabhi
ye saare lagte they
mere liye kabhi
aaj jaane kyon
mai inke liye
lagti hun ajnabii
mere kirdar ka
ek naya dhula hua
rukh hai uska diya
phir poochta hai vo
meri yaadon ka kya hua
charagh ban gayeen
saari baaten uski kahi
un zard mosamon ki
duniya badal gaii
sab jaanta hai vo
jo chahta hai vo
uski raahon per mujhe
lejaana chahta hai vo
un bolti ankhon ki qasam
mai rakhungi unka bharam
chund lamhe zindgi ke abhi
amanat hain ferz ke
bas teher jaao zara
utar dun lamhe qarz ke
awaz de rahi hain
khamoshiaan teri
yaad aarahi hain
vo serghosiyaan teri
us neechi nigah may
dabe dabe ahkaam they
un junbishon may chupe
kitne paighaam they
un khamoshion may chupe
kitne haseen raaz they
wahi tou meri zeest ka
ek naya aaghaz they
aa dekh aake zara
kitni khamosh hun
mai samne bhi hun
aur ruposh hun
aye meri rooh
vo kitna khaas hai
mai nahi tou kya
tu uske paas hai
No comments:
Post a Comment