Ajab duniya ka
Jisey dekha Khud may magan dekha
Tassaur ne jub bhi Aankh kholi
Jabaja khahishon ka Rangeen pairahan dekha
Hujum-e-dostaan tha Bikhre rishte bhi
zameen thi hersu
kahaan watan dekha
jinhen gila hai doori ka gale lagne ki na fursat thi
kal aur aaj se guzra
waqfa be-watan dekha
na-samajh zamaane ne mulkon se mohabbat ki
sada qaumon se wabasta riwajon ka chalan dekha
insaan kyon insaan se kabhi jud nahi paaya
deewaar sada dekhi na shauq-e-milan dekha
duniya se dil lagane ki sazaa yehi paaii
haath malti bad-nasibi ka ujda chaman dekha
sadion se pashemaan wahi armaan hai
khwab bahut dekhe kyon na darpan dekha
duniya sada tamashaii jub mili usey binaii
faham ki raahon per chaand ko ba-sukhan dekha
No comments:
Post a Comment