Search This Blog

Friday, April 17, 2009

Maine dekha hai



Kya hua
meri Mohabbat
gar hai qatra
Isey saath tumhare milkar
Ban jaana hai darya
Maine dekha hai
Subah-o-shaam ka taghayur bhi
Isey na rok paaya hai
Ye tou saare bandh tod kar
Mere seene may darr aaya hai
Vo saari nafraten bhi najane
Kyon nakaam hogayeen
shararaten tanbeeh ki bhi
Mujh per tamaam hogayeen
Phir bhi her ehsaas kehta hai
Ke zindgi ki tarha
Jo tujh may rehta hai
Vo haqeeqqat se qareeb hai kitna
Vo khayaal hai ya fitna
Jo bhi ho ab tou
Dil haar baithi hun
Usey paane ki khaatir
Kitni jungen haar baithi hun
Uljha hua usey dekha
Jahaan dekha usey dekha
Inhi uljhanon may uljha kar
Vo takta raha mujhko
Ke ab ye dil deewana
Najane kya gul khilayega
Kya ye phir kahin
Kisi hijr ka fareb khayega
Vo kya jaane Kashaf saare
Ek sawal ke maare
Beqarar ho uthey
Ayaan hone ko bechaare
Magar ye zid thi dil ki
Ye jo dhoka hai
Ek aur daras ka mauqa hai
Kyon na phir is ko
Azmaaya jaaye
nafs ka tou pesha hai
Girey aur sanbhal jaaye
Jin raaston se vo
Ishq haath aaya
Wahaan tak usi ne tou
Taalib ko pahunchaya
Vo talabju hi kya
Jo chot na khaaye
Vo ishq hi kya
Jo aasaani se haath aaye
Ye tou meraaj waale ki
Dast-e-kibriyaii ka
Ek purisrar bahana hai
Ek aam bande ko
Raah-e-ishq ke zariye
Amal ki raahon per
Le ke jaana hai
Jub sir samjh may aajaye
Bas itna jaan lijiye
Abad ahad ka hojaaye

No comments:

Post a Comment