Search This Blog

Saturday, April 25, 2009

Mujh se poochta hai vo


Mujh se poochta hai vo
Mai yaad hun ke nahi
Mai ne kaha hi nahi
Ek uske siwa Mujhe
kuch bhi yaad hi nahi
ye jo irdgird ke
manzar hain sabhi
ye saare lagte they
mere liye kabhi
aaj jaane kyon
mai inke liye
lagti hun ajnabii
mere kirdar ka
ek naya dhula hua
rukh hai uska diya
phir poochta hai vo
meri yaadon ka kya hua
charagh ban gayeen
saari baaten uski kahi
un zard mosamon ki
duniya badal gaii
sab jaanta hai vo
jo chahta hai vo
uski raahon per mujhe
lejaana chahta hai vo
un bolti ankhon ki qasam
mai rakhungi unka bharam
chund lamhe zindgi ke abhi
amanat hain ferz ke
bas teher jaao zara
utar dun lamhe qarz ke
awaz de rahi hain
khamoshiaan teri
yaad aarahi hain
vo serghosiyaan teri
us neechi nigah may
dabe dabe ahkaam they
un junbishon may chupe
kitne paighaam they
un khamoshion may chupe
kitne haseen raaz they
wahi tou meri zeest ka
ek naya aaghaz they
aa dekh aake zara
kitni khamosh hun
mai samne bhi hun
aur ruposh hun
aye meri rooh
vo kitna khaas hai
mai nahi tou kya
tu uske paas hai

Tuesday, April 21, 2009

Aap ne pukaar kar.......


Ye karam hai aapka
Mujhe apna bana liya
Pathar thi raaste ka mai
Apne Daman may saja liya
Mai Gum thi kal talak
Duniya ki bheed may
Aap ne pukaar kar
Apna saayel bana liya
Thi Mai tahi-dast gada-gar
Pahunch kar dar pe aapke
Kya kya na paa liya
Duniya sada thi pareshaan
Hairaan Bhatki kahaan kahan
Astaane may aap ke
Maine khud ko paa liya
mehafil thi aap ki
raaz-e-ibaadat ki ek kadi
dil-e-beqarar ne faqat
mohabbat ki aag may
khud ko jala liya
khahishon ka bhala
kya kaam hai wahaan
jisne ku-e-yaar may
dil se dil mila liya
rahbar ne kaha tha
faqat dil per rakh nazar
dekh na idher
khud mila kar nazar
aapne apna bana liya
haasil-e-zindgi baat-ti rahi
aap ka diya luta-ti rahi
khud ko lut-ta dekh kar
aapne darya badha liya
sarkaar aapko hai qasam
rakh lijiye deewani ka bharam
vo saayel aur jaaye kahaan
kashkol aapka jisne paa liya

Friday, April 17, 2009

Maine dekha hai



Kya hua
meri Mohabbat
gar hai qatra
Isey saath tumhare milkar
Ban jaana hai darya
Maine dekha hai
Subah-o-shaam ka taghayur bhi
Isey na rok paaya hai
Ye tou saare bandh tod kar
Mere seene may darr aaya hai
Vo saari nafraten bhi najane
Kyon nakaam hogayeen
shararaten tanbeeh ki bhi
Mujh per tamaam hogayeen
Phir bhi her ehsaas kehta hai
Ke zindgi ki tarha
Jo tujh may rehta hai
Vo haqeeqqat se qareeb hai kitna
Vo khayaal hai ya fitna
Jo bhi ho ab tou
Dil haar baithi hun
Usey paane ki khaatir
Kitni jungen haar baithi hun
Uljha hua usey dekha
Jahaan dekha usey dekha
Inhi uljhanon may uljha kar
Vo takta raha mujhko
Ke ab ye dil deewana
Najane kya gul khilayega
Kya ye phir kahin
Kisi hijr ka fareb khayega
Vo kya jaane Kashaf saare
Ek sawal ke maare
Beqarar ho uthey
Ayaan hone ko bechaare
Magar ye zid thi dil ki
Ye jo dhoka hai
Ek aur daras ka mauqa hai
Kyon na phir is ko
Azmaaya jaaye
nafs ka tou pesha hai
Girey aur sanbhal jaaye
Jin raaston se vo
Ishq haath aaya
Wahaan tak usi ne tou
Taalib ko pahunchaya
Vo talabju hi kya
Jo chot na khaaye
Vo ishq hi kya
Jo aasaani se haath aaye
Ye tou meraaj waale ki
Dast-e-kibriyaii ka
Ek purisrar bahana hai
Ek aam bande ko
Raah-e-ishq ke zariye
Amal ki raahon per
Le ke jaana hai
Jub sir samjh may aajaye
Bas itna jaan lijiye
Abad ahad ka hojaaye

Tuesday, April 14, 2009

Madina Mujhe Bhi Hai Aana



Mere Mustafa madina mujhe bhi hai aana
Aapke qadmon se lipat kar haal-e-dil hai sunana
Bedar ko ek baar apne dar pe bulana
Mera shauq-e-deedaar hi jeene ka bahana
Aapki yaad lekar kahaan kahaan na pahunchi
Aapke aashiqon ka dar aapka dar hi jaana
Aap ne ummati keh kar jub bhi pukara
Ummati ka laazim hai donon jahaan bhul jaana
Aap ki duaon ka sadqa hai ye zeest apni
Aap ke dam se raaz-e-imaan humne jaana
Darud aapka waqt-e-aakhir ho zubaan pe
Madine ki musht-e-khaak se qabar hai sajana
hogi ummid puri hai yaqeen mehbub mere
Saath her haal may aapko hai nibhana
Jub se Mustafa aap mere dil may samaaye
Ek siwa aapke duniya lagi hai fasana
Her tassaur ne dekhi hai aapki hi surat
Her surat may khuda ka hi raaz jaana
mai kahaan jaanti thi meri hasti ka maqsad
aapke hi sadqe,khuda chahta hai batana
jub se mili rahbar ki nigaah-e-karam hai
lagta hai Madina mere Aaqa koocha-e-janaan

Saturday, April 11, 2009

Huzur




Huzur apne karam ke qaabil
humen bhi kar do
Apni si mohabbat
hamare dilon may bhi bhar do
Khuda milta ho jahaan wahaan ki
humen bhi khabar do
Aapki dastgiri hojaye haasil
humen vo dar do
Sar-e-aam jalwagar hojaye ishq
humen vo nazar do
mohabbat hojaye hamari kaamil
humen vo meher do
Hojaaye roshan apni hasti
humen vo safar do
jahan barse aapki rahamat
humen vo rahguzar do
Ek ek lamha ho ibadat ,
humen vo sehar do
Mohabbat khuda ho khuda mohabbat ,
humen vo abu-bakar do
Amal ishq aapka jo paaye
humen vo umr do
Jo aapka patta de ,
humen vo shareek-e-safar do
Siraat-e-mustaqeem per jo chalaaye,
humen vo zer-o-zabar do
Maqsud muraad jahaan paaye
humen vo nagar do
Sohbat jinki faiz ho aapka
humen vo khairul-bashar do
Aapke noor se ho roshan,
humen vo ghar do

Sunday, April 5, 2009

Aaj Ka Insaan



Ye shor kaisa hai
Ye kya qayamat hai
Ye khoon kaisa hai
Jo be-rang lagta hai
Insaan jub insaan ko
Deney pe aata hai
Kya kya dekhiye saaheb
Deta jaata hai
Ulfat ke perde may
Nafrat ka chakhu hai
Humderd ban kar
Milta halaaku hai
Ab kaise koi apna
Imaan bachayega
Bhaii ban kar jub
Bhaii ko kaat khaayega
Ye bhuk ajab dekhi
Ye pyaas lahu maange
Murda dilon se
Koii aur kya maange
Suna tha faisle saare
Munsif hi karta hai
ab faislon ka haq
sangdil bhi rakhta hai
machinon ka zamaana hai
insaanon ke jimson may
jo kal purze hain
inhi koii aur chalata hai
insaan ye chaalen
kahaan jaan paata hai
ek apne siwa
sab kuch bhul jaata hai
kabhi yon bhi hota hai
khud ko tak bhul jaata hai
aankhon may sapna hai
jahaan koii na apna hai
tarkash takhayul hai
aasmaan nishana hai
jub safar door ka tehra
phir ghum kya hai
kya kya chod jaana hai
aaj ke insaan
shikaar sikkon ke
aaj ke insaan
majboor dukhon se
baghawat pe hi jub
baat hai tehri
nafs ka baaghi
kyon na ho dehri
zara socho aakhir
maut ko tou aana hai
aaye huye ko ekdin
laut kar bhi jaana hai
maut se pehle
saza-e-maut se kya haasil
zee-rooh ho bani-nu tum
kyon bante ho tum qaatil
meri maano agar saathi
tum diya bano
aur mai baati
umr gar guzar jaaye
phir wapes nahi aati
tum apna safar dedo
aur mera qalam lelo
mai tum bin adhuri hun
tumhare liye zaruri hun
aao mil kar naya
ek jahaan banayenge
aao sab miljul kar
mohabbat ke geet gaayenge
khuda se kiya hua waada
pura kar ke jaayenge
insaaniyet ka sabaq awal
apni naslon ko sunayenge
-->

Friday, April 3, 2009

Ajab duniya ka

-->


Ajab duniya ka chalan dekha
Jisey dekha Khud may magan dekha
Tassaur ne jub bhi Aankh kholi
Jabaja khahishon ka Rangeen pairahan dekha
Hujum-e-dostaan tha Bikhre rishte bhi
zameen thi hersu kahaan watan dekha
jinhen gila hai doori ka gale lagne ki na fursat thi
kal aur aaj se guzra  waqfa be-watan dekha
na-samajh zamaane ne mulkon se mohabbat ki
sada qaumon se wabasta riwajon ka chalan dekha
insaan kyon insaan se kabhi jud nahi paaya
deewaar sada dekhi na shauq-e-milan dekha
duniya se dil lagane ki sazaa yehi paaii
haath malti bad-nasibi ka ujda chaman dekha
sadion se pashemaan wahi armaan hai
khwab bahut dekhe kyon na darpan dekha
-->
duniya sada tamashaii jub mili usey binaii
faham ki raahon per chaand ko ba-sukhan dekha
-->