Bahut socha
Bahut chaha
Ke tum yaad na aao
Be-naam jazbon ko
Na Koii naam de-jaao
Yaad be-bas hai
Kahin bhi aati hai
Ek wahi tumhara
Paighaam laati hai
Kya ye mumkin hai
Mulzim se munsif ko
Ulfat hojaaye
Khataon may bhi Ulfat ka
Pehlu nazar aaye
Haan hosakta hai dekho
Izraah-e-karam koii
Ulfat ki Shaam de-jaaye
Zarurat ko kahin koii
Ulfat ka naam de-jaaye
Ajab mushkil hai
Qatil ke seene may
Dhadakta hua dil hai
Waqt-e-aakhir
Wahi hai Aakhiri khahish
Usi ki mehafil hai
Yehaan her koi be-bas hai
Zindgi ki baazi hai
Daau Khud ko lagaata hai
Baad marne ke
Safeena haath aata hai
Ye kaisi mohabbat hai
Mohabbat ke iwaz koi
silsila sazaaon ka
ishq ke naam kar jaaye
nasal dar nasal kis liye
mohabbat ki saza paaye
derd ka safar hai ye
kya kya na samjhaaye
furqat ke mosam ko
naya mafhum de jaaye
No comments:
Post a Comment