Mere dost mere humnawa
Aaj derd saarey bhul jaa
Kabhi tou khud ko araam de
Kabhi tou le furqaton ka maza
Ye subahen teri kyon udaas hain
Inki Bechainion ko kar widaa
Pal pal tujh per ye azaab kya
Ye raaten hain ke maatam-kada
Ye kisi aur ke khwab hain
Her aah may kis ki hai iltija
Aaj bhi wahi gharz hai hukmaran
khudgharz se kabhi na dil laga
kahaan koii samjh paaya hai ye
ulfat ka jahaan se kya waasta
hum aam, zindgaani apni aam si
tujh se khaas ka khaas hai martaba
khahishon ka basher ghulaam hai
teri saadgi se usey hai gila
musibaten bhi deti hain sakun
mohabbaton may jub hota hai khuda
na badal sakega tu mosamon ka mizaj
in may azal se admi ki hai ada
ye zakhm nahi,hain tamgha-e-wafa
her qatra lahu ka ban gaya hai dua
tu akela nahi derd ke is safar may
tere hamraah ek carvaan-e-ulfat hua
No comments:
Post a Comment