ye khwaab nahi hai maano tou
ye paaun wahi hain dekho tou
vo raqs junun jo kar na saka
ek qadam thi ishq ki manzi bhi
per kya kijiye is paagalpan ka
jo pal may kisi ka ho na saka
sau baar dhadakte dil ne kaha
ho na ho yehi hai khwaab tera
jasarath phir bhi khamosh rahi
Akhir is dil ne kya kya na saha
per itne barson may zaalim ka
her lamha ek paighaam raha
khud baaz raha mulaqaton say
us derd ne mera her derd saha
vo jaanta tha,ye ek bachpan hai
jo pyaara tha us say pyaar hua
ilzaam sabhi us ne sar apne liye
kahin apna baaqi kuch na rakha
dil usi ko maange, muraad nahi
vo ek payaala laakhon may bata
No comments:
Post a Comment