inhi baharon ke saaye may
kabhi koi matwala
apni berang duniya ko
aksar abaad karta tha
khwab si us jheel per aksar
apne khwab bunta tha
shadab shajar ke pehlu say lag kar
uski suprudgi may kho kar
apni mayusiyon per ro kar
vo khud ko bhalaya karta tha
daali daali jhuk kar ye kehti thi
deewane tera koi ho na ho
mai tere dastaras may rehti thi
mujhe chu kar ehsaas tere saare
sandali hojaaya karte they
makhmali sabz nazare kehte they
hum sada teri ankhon may rehte they
tune jub dekha khwab hi dekha
ek nazar nawaz ki nazar say mil kar
phir teri nazar ne kya kya nahi dekha
No comments:
Post a Comment