ab na kaghaz hai na siyahi
ye machinon ki duniya hai
yehan sab kuch machini hai
ek khayal ki humnashini hai
panne bhi khayaali hain magar
saheb siyahi jigar ka hai tezab
dilon ki tapish say ghabra kar
baandh todna chahte hain sailab
ghumon ka tod gar nasha hota
ghumon say khaali jahaan hota
derd gar nahi hota dil bhi nahi hota
gar dil nahi hota khuda kahan hota
khudaii ki yehi rasm-e- ulfat hai
derd say hi us ko mohabbat hai
fitrat ku samajhne ki zarurat hai
farishton ko isi siffat ki hasrath hai
No comments:
Post a Comment