khushbu tere khayal ki hersu mehek uthi
ek maayus gadaagar ki qismat chamak uhi
barson raha safar may jo ek tera khayaal
dil ke aaine may shabeeh uski jhalak uthi
tasawur banata raha teri tasweer baar baar
dil may jo reh gaii so dil may chalak uthi
teri sohbaton ke jaam they,aur mayekhwar
vo mehefil-e-surur kahan phir ye kasak uthi
ab tak na khul saka us chasm-e-azan ka raaz
thi ek barq noor ki,sangdil ana bhi bilak uthi
malte hain ankh rah rah ke khoye huye hawaas
in may kitne dinon ke baad koi dhamak uthi
chalo maana nawazishon ka moqadar hai admi
taalib-e-nawaz ki,nawaz ke dil may humak uthi
No comments:
Post a Comment