usne kaha tha mujh se
jahan bhi chalungi mai
saath hoga vo saaya sa
lagta hai ab mujh ko
wahi to hai mera saaya
meri ahaton may hain
ahaten us ki madham si
meri saanson ko milti hain
be-awaz saansen us ki
mere din raat may shaamil
wahi to hai zindagani sa
gumshuda is zaat ka meri
uska patta hai patta mera
ehsaas arzi panahon ka hua zayel
rooh jismon se takra kar hui ghayel
ye bhed ab jaa ke saamne aaya
tu meri rooh ka hai hum saaya
ye khula keh raha hai kub say
koi asmaan yehan kabhi barsey
lamha lamha girti wahi buundain
ab tak mujh pe larzaan hain
qatra qatra milti is zindagani ki
num hasrathon pe nazaan hain
sad afsos ek umr ka zyaan hona
be-maqsad nahi hai apna yehan hona
No comments:
Post a Comment