ummid mujhe zara itna bata
ummid ka kaise milta hai patta
ummid ka daman dhunde hai koi
fermaa de karam ab na usko sataa
ek sawaali aur do do haath
phir bhi khaaye taqdeer say maat
ek arsh per hi nahi rab ki zaat
ankh bhi tu aur tu hi barsaath
is khamoshi si khamoshi may
ek sargoshi si achanak ubhri hai
kahin koi rudaad sunaane waala hai?
teri dua ab meri khahish tehri hai
chalo pehchan liya maine tum ko
ab ye ankh micholi rahne do
jo tumne itne barson may na kaha
khudara aaj mujhe vo kehne do
ek nazara ojhal tha ek ayaan
jo na samjha, tha uska bayan
na hona tha maqsad ka zyaan
paa liye tujh may dono jahaan
No comments:
Post a Comment