aaj shabnami ruton ki hogi phir salaami
jub talak rahegi yaadon se hum-kalaami
tu ab talak deewane kyon na jaan paaya
mohabbat sar nahi hai,hai nari ghulaami
kabhi kaha tha usne,ye sar cheez kya hai
dekh apna dil jhuka ke, dil cheez kya hai
mamla faham tha,ek nigah se maar daala
jub dil hi nahi raha,dilkashi cheez kya hai
aaj tak usi raastey may dil ye pada hai
umar ka ye darya kahaan aage badha hai
munjamid hisson ke aage wahi khada hai
jis ki nisbaton se silsila zeest ka juda hai
lafz mere saare hojaate hain suneheri
jub bhi khayaal may ubharta hai meri
hai gulabi subah sanwli shaam ghaneri
khamoshiyon se faqat baat hoti hai teri
ab chahe gale lagale ye duniya maar daale
uff tak na karenge beshak hum ko azma le
itna karam kar ek baar apne dar per bula le
de deed-o-dil ko ijazat pyaas apni bujha le
No comments:
Post a Comment