aksar raaton ko badal kar bhes hum apna
khwabon ki duniya may ji ke aate hain
yaqeen ki manzil kahan loag paate hain
insan yehan se wahan ja ja ke aate hain
--------------------------------------------------
subah az sar-e-nau ek naya iraada hai
jhonka hawa ka hai ya koi waada hai
zindagi ka safar hai par pa pyaada hai
kal se aaj may jeene ki arzoo zyaada hai
----------------------------------------------------
gulon se aaj phir pyaar ho gaya hai
kya hua agar inhein khaar le gaya hai
serhadein muhafiz hain dushmanon ki
inhein nahaq hi dushman kaha gaya hai
--------------------------------------------------------
sarsabz wadiyon may chale they
tere qadamon se qadam mila ke
ek ajab hausla dil ko mil raha tha
teri justaju may khud ko bhula ke
purkhatar dhalan sa be-khatar tha
ek nazar churali sab se chupa ke
her taraf basi hai ab tak yaad teri
roz ek naya rang hain tere khaake
ekhtiyar mujh per tera bhi nahi hai
ye jazba mila hai khuda ko paa ke
No comments:
Post a Comment