ye mahaz lafz kahan hain mere
ek ek khwab sunaya karti hun
Ek raat ka hai saara afsana
Jahan khud ko ganwaya karti hun
pal pal jo buni thi dil ne
wahi tou sajaaya karti hun
roz roz tassavur se juda ho kar
koi tasveer banaya karti hun
apne lafzon ka gira kar perda
ek raaz bataaya karti hun
roz ek naya kar ke irada zalim
roz khud ko sataaya karti hun
mere hone ka bharam hai tujh se
her su tujhi ko paaya karti hun
tujh se hi hai saari faramoshi ye
tujh se hi hosh may aaya karti hun
jahan apna patta na lag paaye
wahan khud ko chupaya karti hun
tera karam hai ek labreiz suraahi
her dil ko jum jum pilaaya karti hun