Search This Blog

Wednesday, April 10, 2019

ye duniya naii naii hai...




ye duniya naii naii hai
yehan shanasa koi nahi hai
jo le kar chale they,carvan-e-ulfat
unhein tahi damani ka,shikwa nahi hai
hum jis safar per maan se chale they
uski rahguzar ka, nishan kyon nahi hai
ye ja baja jo sar hain, katey huye hain
Jo sar utha hua tha,vo ab raha nahi hai
khair mere yarab,dil badal gaye hain
kya ab dilon may, tera basar nahi hai
mohabbat aaina hai,rabubiyet ka
Aah! khudparasti,tera aks koi nahi hai
maana aye dil,dhoke bade haseen hain
luzat-kashi se behter,koi jahad nahi hai
besood talaash ka,haasil bas yehi hai
shab-o-roz may ab,dil kahin nahi hai
aye kaash zindagi tu,sirf khwab hoti
shab bhar ka sauda bura to nahi hai 
hosh ne sah ke zalim,zabt ye sikhaya
khamoshi se behter aah-o-baka nahi hai
kaash jaan meri, waqt rahte jaan paao
jo tum se tuta,vo mahaz mera dil nahi hai
waan tha,mere rab ki takhlikh ka basera
pehchan kar bhi khud ko pehchana nahi hai
hikmat ke khel saare,kaam agaye hamaare
ab dil se hamare kuch bhi chupa nahi hai

No comments:

Post a Comment