Search This Blog

Wednesday, May 22, 2019

Mai Adam.......




teri khuld se nikal kar
tere jahan se mil kar
kya kya na haath aaya
mere dono jahan ke malik
tujhe kahan kahan na maine paaya
tere hijir ka ghum keh raha hai
mai kabhi tujh se,juda ho hi na paaya
ye husn ye nazare,sab mere liye bane hain
sab se haseen tune mujhe banaya
teri ek nigah paa kar kya kya na maine paaya
duniya saza nahi hai ye raaz samajh may aaya
adam azal se junnati hai,duniya mahaz safar hai
do-jahan ke badshah ne yehi hai samjhaya
daman tahi na rakhna,wapasi ki raah takna
junnat ke baam-o-darr se paigham yehi hai aaya
khuda gawah hai,adam ka ek hi muddua hai
tere siwa dil ne qarar kahin na paaya
ye dore tujh se mere khalikh,yon bandhi hai
koi iblis,koi shaitan isko na tod paaya
jawab hun mai teri her kashmakash ka
mere hone ne malik ,tera hona samjhaya
haasil-e-safar yehi hai awal-o-akhir wahi hai
sidrat-ul-muntaha se tahat-us-sara tak tera hai saaya 

No comments:

Post a Comment