ujalaon se mil paati nahi ankhein
ab sunta nahi dil apni bhi baatein
koi junun ab pareshan nahi karta
khayaal ab koi aahein nahi bharta
-------------------------------------------
aaj jal uthey kitne bujhe huye chiragh
aaj be-khwabiyon ka mil raha hai suraagh
jo bhi daastaan thi ishq ki, pasheman thi
kal kyon na paa-saki, jo mil raha hai aaj
aaj jal uthey kitne bujhe huye chiragh
aaj be-khwabiyon ka mil raha hai suraagh
jo bhi daastaan thi ishq ki, pasheman thi
kal kyon na paa-saki, jo mil raha hai aaj
hasti ke sab zakham muskura ke keh uthey
tujhe bhasam kar gaii,teri lagaii hui
hi aag
mujhe usne nawaz kar,nawazish bana diya
batney ki arzoo may faiz tera raha hai
jaag
jaan-o-dil ki aziyetein huyeen
tamaam,aye azeez
maatam aqal ka ho to ho,uske peeche tu
na bhaag
haasil yehi kahe, vo bhi tere liye, ye
bhi tere liye
tera
daur ye kahe,rabb-e-kareem ne sunli teri laag
No comments:
Post a Comment