ab ke waqt ki ajab hi chaal hai
na raftar ka isey koi malaal hai
mulhallat hi na mil saki ho jisey
us manzar ka ye kaisa sawal hai
chahatein tou mahaz khwab hain
waqt ke aage inki kya majaal hai
gar teher gaii tou phir zindagi nahi
chalna hi dhadkanon ka kamaal hai
waqt ke raaz jahaan muqeed hain
us waqt ko kahan koii zawaal hai
gardishen waqt ki nahi hain dosto
ye moqadar ki maat aur misaal hai
her talaash ko manzil mile na mile
magar jisey tu mile,vo be-misaal hai
jisey paala waqt ne kisi tifil ki tarhakya ye wahi udaas,guzra hua saal hai
No comments:
Post a Comment