Search This Blog

Monday, May 25, 2020

Saahil maujon se ashna hai..................




raatein aajkal hogayeen hain roshan
din andheron may doobney lage hain
maano waqt muh chupa ke badh raha ho
shaam aur sawere jaise khone lage hain
ye ajib daastaan tasht az baam hogaii hai
seenon se nikal kar manzar-e-aam hogaii hai

khuda ne kitna kaha tha baat meri maano
meri raah hai tumhari aghosh meri pehchano
mai azal se khair-khaw tha tumhara deewano
nafs ki charagari se daman bachana jaano
waqt se pehle waqt ki chaal tou pehchaano
mauqa na phir milega ghanimat isey gardaano


adam ki khaslaton may admi ki hai zeenat
gar admi admiyet ki pehchaan leta fazilat
aaj phir khuld se nikalne ki aati na naubat
raahi raahbar ke aaine ko jaan le ghanimat
teri itaa-at may chupi hai rab ki mohabat
tera zaahir aur baatin hi hai us ki hikmat


saahil maujon se ashna hai phir bhi hai pareshan
darya waqif hai gehraiyon se phir bhi hai hiraan
kitab-ul-ilm ka haasil maano tou khud hai insaan
sab jaanta hai phir bhi nafs may hai ghalthaan
dilon ko karne waala maskhar paalega do jahaan
admi ki naqal-o-herkat itaa-at ka hai nishaan

No comments:

Post a Comment