in khamoshiyon ki
apni alag zuban hai
is chup ki dastan may
simta hua jahan hai
baarha usko suna hai
kehta kuch kahan hai
abhi kuch unsuna hai
dil ki aah-o-fighan hai
duniya se karde ghafil
nazron ka carvan hai
sohbat ke do ghunt pile
is alam ka vo kahan hai
talib ke dil sun raha hai
talab khud pasheman hai
raas aa jaaye humen bhi
khamoshi jo hukmaran hai
No comments:
Post a Comment