Search This Blog

Thursday, April 11, 2024

ye daur bhi abur kar hi lenge....

 



koii ahat  na ummid-e-nau koii

bas sunnata aur hu ka alam hai

-------------------------------------

yon hi hota raha hoga is waqt-e- faani may

ye daur bhi abur kar hi lenge  zindgani may

rishta saayeban ka  deewaron se hai qayam

kya saaye sirf saath chalte hain  jawani may

takmil ke liye apni,adhure baab koshan hain

be sar-o-pa be-rabt unwan hain kahani may

akhir kyon jeena bhi mushkil  hai marna bhi

be-kasi ne maza paaya bhi tou lun tarani may

manzilein ehsaas ki taye hoti hain sherton per

her roz milta hai ek daras namkeen paani may

"wahadahu lashareeka lahu"pe hoti hai ibtida dil ki

agar samjhe tou hai faani madghum laa-faani may

No comments:

Post a Comment