tera ye mode naya hai aye zindagi
Saath hain sabhi dil tanha hai zindagi
Tum kya gaye duniya ashkaar hogai
Azad tha Jo dil shikar hogaya hai zindagi
Kya yehi zad-e-safar hum le ke jaayenge
ek dil tha ansuon may bah gaya hai zindagi
Ankh Shaoor ki khulne may zara dair kya lagi
Banda nafs ke haathon maath kha gaya hai zindagi
Boye they gul ke "kal " ye doharaya na jaayega
khaar bazid they hum se Bach na paayegi zindagi
ankhon se uter kar daman bhigo gaya lahu
Ye waar mohabbat ko kha gaya hai zindagi
khuda ki shert per pura uter gaya hai dil
aate aate raaz Zindagi ka haath agaya hai zindagi
.jpg)
No comments:
Post a Comment