Teri yaad hi mere hosh ki dawa hai
Teri yaad hi meri Ummid ki baqa hai
———————————————————
waqt yehi keh raha hai
mai wafa na kar sakunga
mujh say zakham jo milenge
mai unki dawa na kar sakunga
ke guzrey pal wapis na aa-sakenge
in ka shikwa kabhi na kar sakunga
taye yehi hua tha kaatib-e-zindagi say
ek pal bhi apna zyaan na kar sakunga
bani nu tu bhul baitha chaal waqt ki bhi
Rab ki raza ke aagey kuch na kar sakunga
uski niyamaton may kahin koi kami nahi thi
shumaar ghaflaton ka in may na kar sakunga
tu ne sitahi luzzaton may umar apni ganwai
Takraar teri rooh ki mai, unsuni na kar sakunga
Qadar waqt ki waqt rahte kar le maan jaa tu
gar guzar gaya mai phir kuch na kar sakunga

No comments:
Post a Comment