Search This Blog

Saturday, June 6, 2026

Tum tou chaley gaye …



 Tum tou chaley gaye

Per zindagi nahi gaii 

Mujh may  kahin rah gai 

jo guzri thi saath zindagi

———————----------------------

Guzrey kal ko sab ne maazi kaha

Aur bhul gaye maazi ka bhi haal tha

Aane waale kal ki wahi to mashaal tha

Uski roshni ke baghair safar mohal tha

Kya kya manzar dil per naqsh hote rahe

Jin ke dum se haasil-e-zindagi ka Jamal tha

Sadiyon per muhit tha kul waqt ka hisaab 

Jis ka na Shumar ho saka dil ka kamal tha

Tukdon may butt gaya muntashar wajud

Her su chubta hua wahi ek sawaal tha

Akhir tu ne kyon chuna ishq-o-mohabbat ka raasta

Vasal-o-Hijr se parey Jahan sirf  tera khayaal tha

Meherbaniyan teri azeez hum ko itni theen Azeez

Teri inayeton ke baghair apna   jeena mohaal tha

No comments:

Post a Comment