sahaare dhundta hai jeene ke aadmi
admi se hi uns rakhta hai aadmi
ummid ki kiran banta hai aadmi
ek dusre ka darpan banta hai aadmi
gharz aadmi, aadmi ki pehchaan admi
admi ki jaan leta hai aadmi
admi ko jaan leta hai aadmi
kabhi khud-gharz ,kabhi be-gharz aadmi
kabhi shikayeton ka daftar hai aadmi
kabhi inaayeton ka samundar hai aadmi
saari kainaat ka manzar hai aadmi
khuda ki zaat ka safar hai aadmi....
No comments:
Post a Comment