Aaj phir uski khamoshi ney
mujh say kuch kaha hai
Aaj phir deewangi ku
khud say gila hai
Aakhir kya hai yaqeen ki surat
kya mohabbat ko kabhi chehra mila hai
koi dil may kahan samaya
koi nazdik bhi na aaya
kyon phir riqabaton ka
ek laamatnaahi silsila hai
sargoshion may jo gunjta hai
meri her soch, sochta hai
jo mujh say na mil ke bhi mila hai
kyon hai phir ye be-qarari
kya dil ki lagi kabhi haari
gar zabt hai tou walwala hai
masaayeb zindgi ka rukan hain
in say ghabrana kaisa nadan
yehi tou admiyet ka sila hai
gul pal do pal ki mehek hain
yaad jub talak javidaan hai
her pal khila khila hai
No comments:
Post a Comment