ye salaakhen humne khud ghadi hain
ye deewaren hamare isharon per khadi hain
ye sang humne apni zaat per jo khaaye
ye hamaari nakurda gunahon ki jhadi hain
chalo acha hua sazaayen pehle say taye theen
warna hamari maangon say uski maangen badi hain
badi dair say haath aya hai khird ka daman
deewanon ki ankhen moqadar say kub ladi hain
maazi ki baazi pe chal gaya chaal haal apna
aur kal ke her ek pal say sherten judi hain
waade iraade khwab si tilsimati shaamen
kub say zindagi ka ihaata kiye khadi hain
jhulsa na dein tera pairahan serd aahen
ye be aab ankhen kitna khud say ladi hain
No comments:
Post a Comment