ye kon bandh kiwaden
dheere se kholta hai
ye kon awaz de raha hai
madham si dhadkanon ko
mayusion ke andhere
lamhabhar ko chat gaye hain
mubham si koi kiran hai
jo ummid ban gaii hai
ek taar phir se chid gaii hai
jo khayal se mil gaii hai
un ankhon ki chamak may
manzil gum ho ke reh gai hai
ya yon bhi dil keh raha hai
unhi may manzil mil gaii hai
mujhe sada hi ye yaqeen hai
tu dil ke paas hi kahin hai
is subah shaam ke safar ka
tu shahid hai mere raston ka
tujhe mere lamhath ka patta hai
jahan maine khud ko kho diya hai
ye waqt mujh se chin gaya hai
mere wajud se mukar gaya hai
azab se ab dar nahi lag raha hai
ke yehin se shuru vo silsila hai
vo ankhen ummid ki hain taalib
jahan khayal ko tu mil gaya hai
derd ka ye sauda bura nahi hai
khayal behlawon ki hi sayee hai
chalo do pal ummid ke shajar se
ek saaya hum bhi chura lein
do ghadi jaati huii saanson ko
hum teri awaaz dekar bula lein
ke ummid bhi ek arzoo hai
aur mohabbat arzoo nahi hai
mohabbat inaayet hai roshni hai
ye wahed ummid daayemi hai
No comments:
Post a Comment